sham ki aahat jab aane lag jae sabiqa libas utar dene ke amal ko mizan-e-nazar par rakh lena chahiye taki wo maila libas sham ka hi hissa na ban jae hamein ujle libas ki fikr karni chahiye safed ujla shaffaf rang tahira libas ka hi hissa hai aur hum is subh-yafta libas ke pahanne ke ahl sabit ho gae to najat hi najat hai sifat hi sifat hai lekin hum amal-e-tahira se guzre baghair ujla libas pahan kar bhi apni gard-e-kashafat chhupa nahin paenge behtar hai amal-e-jariya ko hi afzal manen naqsh-e-mubin hasil ho jae makan ko makin, makin ko makan mil jae aasman ko zamin zamin ko aasman mil jae