sitare chup hain ki chalti hai tez tez hawa ye raat apni mohabbat ki raat bhi to nahin faza mein yaadon ke jugnu chamak rahe hain abhi hasin yaadon ko lekin sabaat bhi to nahin gham-e-hayat se manus ho chala hai dil nae nae hi sahi sanehat bhi to nahin badal ke rakh den jo lail-o-nahaar duniya ke abhi hayat ke wo hadsat bhi to nahin wahi hai khun-e-tamanna wahi hai hasrat-e-gham ye maut bhi to nahin hai hayat bhi to nahin ye raat johd-e-musalsal ki ek raat sahi tabahiyon ko liye bar bar guzregi koi batae kahan tak ki zindagi ki ye raat fasurda guzri hai aur sogwar guzregi abhi to roz yahi fikr hai jien kaise abhi to raat yunhi be-qarar guzregi sukun-e-dil ke liye aaj bhi yaqin sa hai yahi chaman se khizan sharmsar guzregi nae charagh jalaen umid-e-farda se kabhi to wadi-e-gham se bahaar guzregi ye raat ek nai yaadgar lai hai saja ke zakhmon ke phulon ka haar lai hai