abhi langar nahin dala tikoni baadban ki rassiyan dhili nahin kin abhi mastul apne panw ke upar khada hai safine ke bhare sine mein sanson ka zakhira sarsaraata hai abhi hum naqidana fasle se ajnabi sahil ke tewar dekhte hain khujuron ke darakhton mein chhupi sargoshiyan sunne ki khatir hum ne apne kan zinda kar diye hain pahadi mein sarakte tir-andazon ke karobar pe aankhen laga di hain hamein tum apne sahil par pazirai ke kis andaz ke qabil samajhte ho ye tum par hai agar tum tir chhodoge to hum ne apni aankhon ke siwa sara badan pighle hue lohe ke pani mein duboya hai hamara hath tarkash ke khule munh par dhara hai kaman ki khushk aur akdi zaban to muddaton se tir chakhne ke liye bechain hai tumhein ye ilm hona chahiye ki hum jab apne tir pe dushman ki baen aankh likhte hain to baen aankh hoti hai kabhi abru nahin hota ye tum par hai agar tum hum ko sine se lagane ke liye sahil pe aa kar apne bazu khol doge to hum bhi phadphadate baadban ki rassiyon ko khol denge agar tum tir andazon ki toli ko pahadi se utaroge to hum bhi jism se lipta hua loha gira denge tumhaare har amal ko hum badi iman-dari se, bade insaf se radd-e-amal denge tumhein ye ilm hona chahiye ki aankh ke badle mein aankh aur dil ke badle dil hamara zabta hai tumhaara husn-e-zan hai soch ke har zawiye se sochna ki hum jo pani par khade hain kis pazirai ke qabil hain magar kuchh bhi karo madd-e-nazar rakhna ki hum madd-e-muqabil hain