sham mein ghaar tha ghaar mein raat thi raat ke nam andhere mein ek ajnabiyat ka ehsas tha chalti sanson ki hilti hui satah par waqt ki naw thahri hui thi sansanate hue nam andhere mein poren dhadakne lagin ghaar mein mahw-e-parwaz palkon ke panchhi ulajhne lage ghaar mein sham thi chand lamhon mein sadiyan basar kar ke jab ghaar ke daur se hum zamane mein aae to dhalte hue din ki gili chamak pattharon par jami thi mud ke dekha to palkon ko parwa lagi aur makhmur aankhon ko sapna laga gunjte ghaar ka nam andhera hamein apna apna laga ghaar ne kuchh to jaane diya kuchh hamein rakh liya tha nihayat subuksar the aise chalte the jaise zamin ke makin kurra-e-mah par chal rahe hon sham ke ped par ek parinda gajartan bheron mein gane laga waqt ka sanwla ped hai ped ke malgaje pat hain dil ke apne zaman o makan sham ke apne din raat hain