kabhi aflak se nisbat mili hai kaj-kulahon ko kabhi main bhi tumhaari tarah suraj par lapakta tha magar ek din hua aisa sunahre rath pe suraj na-gahan is samt se guzra guzarte rath ki zad mein panw mera kat gaya suraj ne shan-e-be-niyazi se shikasta-panw ki chabuk banai aur gaya aisa ki phir us ne palat kar bhi nahin dekha main us suraj ke pichhe kyun chalun jis ne shikasta-pa kiya mujh ko mubarak ho tumhein garm-e-safar rahna