ek shokhi-bhari doshiza-e-billor-jamal jis ke honton pe hai kaliyon ke tabassum ka nikhaar seemgun rukh se uthae hue shab-rang naqab tez raftar udati hui kohre ka ghubar ufuq-e-sharq se ithlati hui aati hai mast aankhon se barasta hai subuhi ka khumar phul se jism pe hai shabnami zartar libas karwaten leta hai dil mein use chhune ka khayal aankhen malte hue jag uthte hain lakhon ehsas ye hasina mujhe uksati hui aati hai naghme gunj utthe hain pazeb ki jhankar ke sath nuqrai ungliyan aafaq pe lahraati hain jism ke loch mein simab ki maujen hain rawan lahren bahon ki thirakti hui bal khati hain nachte nachte badhti hai magar rukti hui dil ko barmata hai us shokh ka bharpur shabab us ki garmi meri sanson se koi dur nahin farsh-e-makhmal pe bichhi jati hain us ki nazren nile aanchal mein damakti hui shaffaf jabin utthi mashriq se to maghrib ki taraf jhukti hui muzmahil chehre ki zardi mein hai rukhsat ka payam surmagin aankhon pe jhukne ko hain lambi palken qurmuzi dhaariyan chhan chhan ke siyah zulfon se jazb ho jati hain dahke hue rukhsaron mein zulfen bikhri hui shanon se dhalak aai hain sar jhukae hue munh pher ke khamoshi se dur maghrib ke dhundlakon mein chali jati hai mere dil mein hain sulagti hui yaaden us ki unhi yaadon se meri ruh jali jati hai kitni tarikiyan chup chap sarak aai hain