tera nam le kar sahar jagti hai tere git gati hai taron ki mahfil teri khak-e-pa hind ka raaz-e-azmat teri zindagi mere khwabon ki manzil kahani teri sun ke tharra uthi main dhadakne laga dhire dhire mera dil chhupae hain sine mein kuchh raaz apne dakan ke kuhistan ki tapti chatanen musafir kuchh aae the in jangalon mein faza mein hain bikhri hui dastanen wo hamdard aankhen wo baaton mein jadu wo mazbut bazu wo bhaari kamanen wo ek khud-faramosh pi ki pujaran kati pattiyon ki nadi ka kinara nigahon se chhanta hua nur-e-ulfat jabin par farozan wafa ka sitara baraste hue phul khushiyon ke har su zamana bhi tha ruk ke mahw-e-nazara wo paiham safar wo hawadis ke tufan wo pairon mein chhaale wo hansti nigahen kabhi dil ko ghurbat mein bahlae rakhna kabhi des ki yaad mein sard aahen rahi salaha sal tu jada-paima ye dhun thi ki tai hon riyazat ki rahen magar aazmaish thi kuchh aur baqi abhi samne aur bhi imtihan the asiri phir ek rakshas ki asiri bahut dur tujh se tere pasban the teri pak fitrat magar ek sipar thi tere samne rakshas na-tawan the uthe phir tera nam le kar jawan kuchh jari hausla-mand sachche jiyale hila dale aiwan ek saltanat ke tere pasban the bade aan wale teri wapsi kar rahi thi ye elan ki mitte nahin zulmaton se ujale sahe jo sitam ban gae sab fasana talafi ka ab aa raha tha zamana hui aah lekin ye kaisi talafi dobara mila jangalon mein thikana salib ek baqi thi jo mamta ki use bhi to lazim tha tanha uthana ajab hain ye asrar-e-rwasl-o-judai ki manzil ko pa kar bhi manzil na pai ye kaisa sitam tha ki iffat ki dewi subut apni iffat ka dene ko aae wo shoale ki manind shoalon se guzri wo bijli si ban kar zamin mein samai