ye mai-kada hai tera aur main sharabi hun sambhaal saqiya mina ko apne hathon mein mujhe bhi aaj ma-e-arghawan ki hajat hai sarak rahe hain rukh-e-kaenat se parde dil-o-dimagh mein ek raushni si dar aai har ek ghunt pe kuchh zindagi ke raaz khule muhit ho gai kaun-o-makan ki girai magar ye jam ke andar bhi kaisi tariki bahut hi talkh hai apna khumar-e-baada-kashi kahin charagh bujha jal uthe kahin fanus wahi tazad wahi hai kashakash-e-hasti hayat aaj kahan khinch kar mujhe lai sambhaal saqiya mina ko apne hathon mein hayat ke liye koi sharab hai ki nahin bas ek bar to aisi pila de ai saqi ki hosh aa na sake tere pine wale ko