shair ki tamannaen

umangen dil se uth uth kar takhayyul mein sanwarti hain
mere zulmat-kada mein arsh se huren utarti hain

wo meri hasraten wo aarzuen wo tamannaen
jo bar aain to duniya ke jahannum sard ho jaen

yaqin hota hai dil ko jada-e-haq se guzarna hai
mujhe mustaqbil-e-insaniyat tamir karna hai

uthun uth kar nizam-e-mahfil-e-hasti badal dalun
badhun badh kar badi ki quwwaton ka sar kuchal dalun

sarapa soz ho kar garm kar dun qalb-e-hasti ko
tapish-andoziyon ka daras dun sukkan-e-pasti ko

zamir-o-fikr-e-insani ki aazadi ka khwahan hun
main nasl-o-rang-o-khun ke imtiyazon se gurezan hun

ye bazm-e-rang-o-bu mahrum-e-rang-o-bu na ho jae
mujhe dar hai ki ye duniya maqam-e-hu na ho jae

sametun markaz-e-insaniyat par zulm barham ko
sikhaun ehtiram-e-zindagi aulad-e-adam ko

waqar-e-adamiyat se khirad ko aashna kar dun
ghuzar-e-ishq se aaina-e-dil ki jila kar dun

haqiqat aashna-e-zauq kar dun kaj-nigahon ko
jagah den nekiyon mein ye mere rangin gunahon ko

mita kar imtiyaz-e-nek-o-bad sab ek ho jaen
khuda bhi ek hai bande bhi us ke ek ho jaen

na gulchin ho na sayyaad-e-sitam-ran ki sitam-rani
na gul ki chaak-damani na ghunchon ki pareshani

na tufan ho na tufan mein gharibon ka jahaz aae
khudaya hum fareb-e-kashti-o-sahil se baz aae

ye meri hasraten ye aarzuen ye tamannaen
jo bar aaen to duniya ke jahannum sard ho jaen

meri khamosh raaton mein bhi ek halchal si rahti hai
dua karta hun main insaniyat aamin kahti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close