kis se puchhun mere malik mere jism se mujh ko ab ye khun ki bu kyun aati hai jabki koi zakhm nahin hai ghaw nahin jo dikhta ho phir ye kaisi bu hai jo sanson mein rengti rahti hai kapdon se chimti hai mere darwazon se diwaron se mez pe rakkhe akhbaron se risti hai kaise main is khun ki basi bu se chhutkara paunga ragad ragad kar khud ko dekha kitne hi dariyaon mein main ghota mar ke aaya lekin khun ki boss badi ziddi hai ja kar hi nahin deti hai jabki koi zakhm na koi ghaw badan par hai mere aisi kaun si chot lagi thi log to rozana marte hain rose hi ek gardan katti hai masjid mein bam bandh ke koi roz nawafil padhta hai ye sab to mamul hai lekin mere jism se mujh ko phir ye khun ki bu kyun aati hai jabki koi zakhm nahin hai ghaw nahin jo dikhta ho