meri us sham ke tare se mulaqat bahut gahri thi wo mera ham-dam-e-derina tha main bahut chhoti thi jab man ne bataya tha mujhe dekho dekho wo udhar wo meri ungli ke qarib ek tara bhi tumhein dekhta hai un dinon jab main hawaon ki tarah udti thi aur dali ki tarah jhum ke lahraati thi raat aur din ke lipatne ki ghadi aate hi sirf us tare ki khatir main thahar jati thi wo mujhe dekhta tha main bhi use dekhti thi wo mujhe dhundhta tha main bhi use dhundhti thi aur us id-e-mulaqat ke baad roz hum donon bichhad jate the apni manzil ki taraf wo bhi chala jata tha apne raston ki taraf mein bhi palat aati thi meri us sham ke tare se mulaqat bahut gahri thi main ne tare ki rifaqat mein shagun kitne liye aaj dekha nahin tara main ne aaj ki sham jo roz aata hai shayad nahin aae rasta bhul na jae aaj to jald nikal aaya hai tara mera aaj ki raat mulaqat milegi mujh ko an-kahe lafzon ki saughat milegi mujh ko main ne tare ki rifaqat mein shagun kitne liye ab main tanha hun baras bit gae hain kitne koi tara nahin dekha main ne dur ki chiz zara dhundli nazar aati hai meri khwabida samaat ko jagane ke liye sirf aawaz-e-azan aati hai ab shagun kahe se lun kis ke aane ki umiden bandhun kis ke jaane se pareshan rahun kal magar phone ki ghanti ne mujhe apne mahaul se bedar kiya zindagi se mujhe do-chaar kiya ek amrit bhara lahja mere kanon mein ghula amman kal sham dikhaya hum ne apne bachchon ko chamakta tara kaun sa tara dikhaya tum ne aap ka sham ka pahla tara phone jab khatm hua waqt dinon hi gale milte the main ne khidki se hataya parda aasman hadd-e-nazar tak waraq-e-sada tha na shafaq thi na ufuq par hi koi tara tha yak-ba-yak ek kiran chehre par lahrane lagi dur ki chiz zara dhundli nazar aati hai mera tara meri palkon par utar aaya tha main ne ungli ke sahaare se use tham liya apne aanchal mein use bandh liya bhala is umr mein ye sath kise milta hai meri us sham ke tare se mulaqat bahut gahri thi mera hamdam-e-derina tha