suna hai jangalon ka bhi koi dastur hota hai suna hai sher ka jab pet bhar jae to wo hamla nahin karta darakhton ki ghani chhanw mein ja kar let jata hai hawa ke tez jhonke jab darakhton ko hilate hain to maina apne bachche chhod kar kawwe ke andon ko paron se tham leti hai suna hai ghonsle se koi bachcha gir pade to sara jangal jag jata hai suna hai jab kisi naddi ke pani mein bae ke ghonsle ka gandumi rang larazta hai to naddi ki rupahli machhliyan us ko padosan man leti hain kabhi tufan aa jae, koi pul tut jae to kisi lakdi ke takhte par gilahri, sanp, bakri aur chita sath hote hain suna hai jangalon ka bhi koi dastur hota hai khudawanda! jalil o mo'tabar! dana o bina munsif o akbar! mere is shahr mein ab jangalon hi ka koi qanun nafiz kar! koi dastur nafiz kar!