abhi parchhaiyan unche darakhton ki juda lagti hain rang-e-asman se zara pahle gaya hai ek parinda bagh ki jaanib udhar se aane wale ek tayyare ki rangin batiyan raushan nahin utni wo nikli hain sabhi chamgadaden apne thikanon se bada mubham sa aaya hai nazar zohra falak ke beach t kozi ke niche hai garm ab bhi bacha pani kisi ne mujh ko andar se nahin aawaz bhi di main zara baramde mein aur rah lun fusun mein sham ke prawasi bah lun