sham ki rakh mein luthdi hui dhalwanon par

sham ki rakh mein luthdi hui dhalwanon par
ek rewad ke thake qadmon ka maddham aahang
jis ki har lahr dhundlakon mein ludhak jati hai
mast charwaha chara-gah ki ek choti se
jab utarta hai to zaitun ki lanbi sonti
kisi jalti hui badli mein atak jati hai
bakriyan dasht ki mahkar mein gundha hua dudh
chhagalon mein liye jab raqs-kunan aati hain
koi chaudi kham-e-dauran pe chhanak jati hai
jast bharti hai kabhi aur kabhi chalte chalte
nachti dar mimakate hue buzghaalon ki
har jhuki shakh ki chaukhat pe thithuk jati hai
san par lakh chhuri sikh pe sad-para-e-gosht
phir bhi madhosh ghazalon ki ye toli hai ki jo
bar bar apne khat-e-rah se bhatak jati hai
sham ki rakh mein luthdi hui dhalwanon par
khelti hai gham-e-hasti ki wo shadan si umang
jas ki rau waqt ki pahnaiyon tak jati hai

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close