zindagi bhes badal kar jahan fan banti hai 'mir'-o-'ghaalib' ka wo andaz-e-bayan hai urdu kabhi karti hai sitaron se bhi aage manzil chashm-e-iqbaal se goya nigaran hai urdu sath insha ke kabhi hansti hai dil khol ke wo bahr-e-fani kabhi masruf fughan hai urdu hasil-e-bazm hai aur bazm ko tadpati hai jaan-e-mai-khana hai maikhana-e-jaan hai urdu gah parwane ki mayyat pe khadi milti hai surat-e-shama jahan girya-kunan hai urdu gah khushiyon ke chaman-zar mein ja basti hai mausam-e-gul ki jahan ruh-e-rawan hai urdu mahw-e-gul-gasht jahan hur-e-bahishti mil jae qabil-e-rashk wo gulzar-e-jinan hai urdu har ghazal kucha-e-jaanan se ziyaada pyari har nazar sher hai taswir-e-butan-e-urdu har nai nazm nae mod pe le jati hai ruh-e-imroz hai farda ka nishan hai urdu dhul gai kausar-o-tasnim ke pani se magar jannat-e-arz ki mazlum zaban hai urdu baghban mujh ko ijazat ho to ek baat kahun naghma bulbul ka hai phulon ki zaban hai urdu milte hain is se hazaron hamein tahzib ke daras is qadar zehn pe kyun tere garan hai urdu ab bhi chha jati hai har ruh pe masti ban kar is kharabi mein bhi afsun-e-jawan hai urdu