sun dariya apni mutthi khol raha hai sun kuchh patte aur patton ke sath kuchh hawa ukhad gai hai jangal ke ped irade zamin ko bosa de rahe hain chahte hain dariya ko mutthi ka jal lagaen aankhen manzar tah karti ja rahi hain samundar mitti ko chaukor kar nahin pa rahe sun gali lai pe funkar rahi hai is mein jale hue kapde phenk zine galiyon mein dhanse ja rahe hain jismon se aankhen bandh di gai hain bahte sitare tujhe aks kar rahe hain tere pas koi chehra nahin bata jangal se lautne walon ke pas mere lafz the ya murat kai janm baad baat dohrai hai meri baat mein jal mat laga meri baat bata bata bojhal sae pe kitna wazn rakha gaya tha sun maut ki chadar tumhaari aankhen napna chahti hai kanche is chadar ko chhed chhed kar denge chadar mein pahle hi si kar lai thi kya paimana zang-alud tha ye chadar tumhein mitti se dur rakhegi aisi had aisi had se mera wajud inkar karta hai tumhaara wajud to parinde rat chuke tumhaari zaban kahin tumhaari muhtaj to nahin mere aaza par e'tibar kar main hairaton ka inkar hun mukhtalif rang ke charagh aur paniyon ki zabanen aadmi insan hone chala tha ki kuan sukh gaya kya aadmi ne kunen mein nafrat phenk di thi nahin wo sada gumbad ko todti hui thoda sa aasman bhi tod lai thi chadar aur aawaz ko tah kar ke rakh do lautne tak meri aawaz dharti pe gunjti rahe jaise jaise tum jaoge khatm hote jaoge tum do aankhen rakhna magar fasle ko bedar mat karna aaankhon ki tik-tik sara jangal jaanta hai tum khamosh rahna aur han zaban ka ilm apne sath lete jao tum pedon aur chidiyon ki guftugu sunna aabshaaron ke war sahna main ye tukda aasman ko rangne ja rahi hun rukhsat ho rahi ho aane ka wada hai wade chaukhat ghadiyan jod jod kar banae gae hain wade ko khadaun mat pahnao chap ka iqrar dekh mere qadam ki rakhwali karti hai main apne charagh ki lau se tumhaari jhonpadi bandhe jati hun lo aur ye jhonpadi jis waqt apna apna dam tod den to samajh lena main koi zinda nahin rahi hongi diya tarikiyon ko chaukanna rakhega sans tap chuke aur mitti mujhe bula rahi hai achchha charagh aur chadar ko bandh do hairat hai tum haqiqat ki tisri shakl nahin dekhna chahte aag ko kuze mein band kar do aur ye raha charagh aur chadar ye to rakh hai ye rakh nahin mere safar ki gawahi hai