aaj zindagi ki tarikh thi aur wo us ke samne chikh rahi thi jis ne aaankhon par siyah patti bandh rakhi thi ab main be-chehra kaise jiyun? main ne to apna chehra kat kat kar be-chehra naslon mein bant diya meri kor-chashmi gawah hai ki main ne apne sabhi manzar be-manzar aaankhon ko de diye meri tamam khwahishen nai nasl ne bech kar apni aarzuen kharid lin hansne ke liye mere pas ab hont nahin hain naslon ko dhup se bachate bachate jab sar mein chandi ug aati hai to naslon ke khun mein safedi kyun daudne lagti hai? har taraf mere hi diye hue chehre ghum rahe hain aur main apna chehra dhund rahi hun aakhir be-chehra ho kar kaise jiya ja sakta hai? magar us ki aaankhon par to patti bandhi thi wo kaise be-chehra zindagi ko dekhta? is ke hath se juda taraazu kanpne laga us ke pas nae chehre nahin the aur us ne zindagi ko ek lambi peshi de di