bahaar ne hamari taraf phul phenke qabristan ne hamari taraf ek qabr phenki mujhe nahin malum ki phul aur qabr hamare us shakhs ke hath kaise lag gae jis shakhs ko hum abhi takhti par zindagi likhna sikha rahe the jald-bazon ne hamein itni bhi suhulat nahin di ki hum ek maut ki wazeh taswir bana pate koi nahin jaan paega ki kyon hamare ghar mein ek frame baghair kisi taswir ke hamesha ke liye rakh diya gaya hai raat badbada rahi hai aur hum apne sine par hath rakhe hue badh rahe hain ek aisi aawaz ki taraf jo aawaz sham ke shor mein hamein puri tarah sunai nahin deti aaj chand ko itni tabnaki ke sath raat ki badbdahat ka sath nahin dena chahiye tha aansuon ki ek qatar aaj parindon ke sath sarhad ubur kar jaegi aur koi sipahi aansuon ka passport check nahin karega hum dekh rahe hain ki khun ki ek dhaar baisakhiyan tham kar hamari jaanib badh rahi hai aur kah rahi hai ki tum log itne zor se apne dil ko patthar par kyon nahin patakhte ki tumhaare dil ke tukde bhi is bahaar mein khilne wale phulon mein shumar ho jaen ab khun ki dhaar ko kaun batae ki kyon hum apne sine par hath rakh kar ek aawaz ki taraf badhte chale rahe the