chamak hire se badh kar ai tabassum tujh mein pinhan hai unhin honton pe zau bikhra tu jin honton ko shayan hai misal-e-barq tu girta hai jaan-e-na-shakeba par giri thi jis tarah bijli kalim-e-tur-e-sina par na hoga lal koi teri qimat ka badakhshan mein tu hi ek misra-e-barjasta hai qudrat ke diwan mein jahan ki daulaton mein koi bhi daulat nahin aisi falak par kab chamakti hai sitaron ki jabin aisi gham-e-duniya ka shaki jab hua haq se dil-e-adam tujhe de kar ata farma diya har zakhm ka marham hua jata hai pazhmurda dil-e-awara sine mein to tapka qatra-e-ab-e-baqa is aabgine mein jhalak pal-bhar ki hai lekin asar hai daimi tera sar-e-gulzar dam bharti hai goya har kali tera lab-e-jaan-bakhsh par kuchh kuchh numayan ho ke rah ja phir adhuri rah gai hai dastan-e-ishq kah ja phir