kyun main ghate mein rahun sud-faramosh rahun mauqa mil jae to daftar mein hi madhosh rahun dant afsar ki sunun aur hama-tan-gosh rahun ham-nawa main bhi koi gul hun ki khamosh rahun maska-bazi ke sabab tab-e-sukhan hai mujh ko dar-haqiqat bahut arsa se ghutan hai mujh ko hai baja kaam ki chori mein to mashhur hain hum pet rishwat se jo bharte hain to majbur hain hum aankh ke andhe hain kanon se bhi mazur hain hum boss ki nit-nai dhamki se bhi ranjur hain hum mere afsar mere aaqa tu ye dawa sun le apni aadat ko na chhodenge tu itna sun le thi to maujud azal hi se ye rishwat ki phaban ye buzurgon ki riwayat ye buzurgon ka chalan kaise kah dun ki mujhe hoti hai is se uljhan ye maza wo hai ki aadi hain mere kaam-o-dahan hum pe ghaflat hui tari to corruption bhi sawar lakh roti rahi public na suni us ki pukar khaya ohde ki badaulat jo hazaron ka udhaar ek hi kes mein karne lage hum beda par hae afsos wahi lens ne hum ko pakda zindagi bhar ke liye ho gaya qaem jhagda hum to ullu hain teri dhons mein rahte hi rahe jis taraf tu ne kaha josh mein bahte hi rahe phir bhi kyun aankh dikhata hai tu danda le kar kya nahin khush tera ji rupiyon ka batwa le kar apni tad apni ana ko bhi mitaya hum ne khol chehre pe ghulami ka chadhaya hum ne hukm afsar ka bahar-haal bajaya hum ne us ke chamchon ko bahut mal chataya hum ne phir bhi afsar ko gila hai ki wafadar nahin hum wafadar nahin wo bhi to dil-dar nahin
This is a great madhosh romantic shayari. True lovers of dhamki shayari in urdu will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore maska shayari in hindi. Please share if you liked this!!!