shikwa karun main kab tak us apne mehrban ka al-qissa rafta rafta dushman hua hai jaan ka girye pe rang aaya qaid-e-qafas se shayad khun ho gaya jigar mein ab dagh gulsitan ka le jhadu tokra hi aata hai subah hote jarub-kash magar hai khurshid us ke han ka di aag rang-e-gul ne wan ai saba chaman ko yan hum jale qafas mein sun haal aashiyan ka har subh mere sar par ek hadisa naya hai paiwand ho zamin ka shewa is aasman ka in said-afganon ka kya ho shikar koi hota nahin hai aakhir kaam un ke imtihan ka tab to mujhe kiya tha tiron se said apna ab karte hain nishana har mere ustukhwan ka fitrak jis ka aksar lohu mein tar rahe hai wo qasd kab kare hai is said-e-na-tawan ka kam-fursati jahan ke majmea ki kuchh na puchho ahwal kya kahun main is majlis-e-rawan ka sajda karen hain sun kar aubash sare us ko sayyad pisar wo pyara haiga imam banka na-haq shanasi hai ye zahid na kar barabar taat se sau baras ki sajda us aastan ka hain dasht ab ye jite baste the shahr sare virana-e-kohan hai mamura is jahan ka jis din ki us ke munh se burqa uthega suniyo us roz se jahan mein khurshid phir na jhanka na-haq ye zulm karna insaf kah piyare hai kaun si jagah ka kis shahr ka kahan ka saudai ho to rakkhe bazar-e-ishq mein pa sar muft bechte hain ye kuchh chalan hai wan ka sau gali ek chashmak itna suluk to hai aubash khana jang us khush-chashm bad-zaban ka ya roe ya rulaya apni to yun hi guzri kya zikr ham-safiran yaran-e-shadman ka qaid-e-qafas mein hain to khidmat hai nalagi ki gulshan mein the to hum ko mansab tha rauza-khwan ka puchho to 'mir' se kya koi nazar pada hai chehra utar raha hai kuchh aaj us jawan ka
This is a great pyari subah shayari. True lovers of pyara hindi shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore shayari imam ali. Please share if you liked this!!!