shirin hai rasili hai mazedar bahut hai har fard ise khane ko tayyar bahut hai khush-rang hai khush-ru hai ye khush-khulq hai la-raib jo khae ise lutf se sarshaar bahut hai hai sakht mein pechida magar asl mein sidhi fitrat ki bhali taba mein hamwar bahut hai sada si hai surat to damakti hui rangat is ke liye bas itna hi singhaar bahut hai khate hi halawat ka dahan mein ho basera is ke liye thodi si hi miqdar bahut hai guna-gun hain ausaf jinhen mante hain sab bas wo nahin shamil jinhen pindar bahut hai jo fard ise dekhte hi chin-ba-jabin ho zahir hai ki jine se wo bezar bahut hai kuchh to ise halwai ki dukkan pe khaen kuchh ko ye amal karte hue aar bahut hai kya gham hai jo shopper pe hai sarkar ki bandish halwai ki tahwil mein akhbar bahut hai ye yaad rakhen khane mein rakhna hai tawazun jo bhula wo amraaz se do-chaar bahut hai amraaz ko hargiz na wafadar banaen warna ye rah-e-zindagi pur-khar bahut hai go ab to taaruf ki zarurat nahin chandan hai nam jalebi agar israr bahut hai