libas jal kar mere badan par chipak gaya hai badan musalsal sulag raha hai kahin kahin bhule bhatke shoale utha ke lau sar ki ab bhi bahar ko jhulte hain jinhen main apni jali hatheli ki pusht se khud daba raha hun alaw se bahar aa ke dahshat-zada nigahon se dekhta hun kahin se ab ambulance aaegi meri jaanib koi masiha-nafas sambhaalega aage badh kar magar yahan to koi masiha-nafas nahin hai main chikhta hun koi to hoga koi to be-ikhtiyar meri taraf bhi aae badan se chimti qaba ko khud hi bachi khuchi ungliyon ki poron se chhu ke mahsus kar raha hun ki jism hai ya jala hua pairahan hai mera jo meri mitti mein dhans raha hai aziyyaton ki gawahi deta hai khaliya khaliya jakad chuka hun main is ki parton mein chahta hun ki khinch dalun utar phenkun ise magar ab ise utarun to khaal meri hi khinch lega aur in sulagti bachi khuchi ungliyon ki poron se nakhunon se kuredna bhi nahin hai bas mein jo pairahan tha wo pairahan ab mera qafas hai jo pairahan tha wo pairahan ab mera badan hai