shor bahta hua ek dariya hai kaisi masti mein bahe jata hai shor kanon mein basa lagta hai kya garajta hua sannata hai shor jangal ki lapakti hui aag ghar ka ghar pal mein jala deta hai shor khunkhar bala hai pal mein sari basti ko nigal jata hai shor ki aanch se allah bachae sisa kanon mein pighal jata hai shor hai jang-o-jadal ka kohram shor hi amn ka bhi nara hai shor hi naghma-e-gul bang-e-azan shor mandir ka bhajan hota hai shor ehsas-e-wajud-e-hasti shor hi zist ka sarmaya hai shor nabud to hasti na wajud khamushi maut ka hangama hai shor hi shor 'sahar' chaar taraf shor tham jae to sannata hai