jism ko khwahish ki dimak kha rahi hai nim-wahshi lazzaton ki tutti parchhaiyan aarzu ki aahani diwar se takra rahi hain dard ke dariya kinare ajnabi yaadon ki jal-pariyon ka mela sa laga hai an-ginat pighle hue rangon ki chadar tan gai hai parbaton ki chotiyon se reshmi khushbu ki kirnen phutti hain khwab ki dahliz suni ho gai dhup ke jangal mein suraj kho gaya hai baadalon ki maili chadar par teri aawaz ka ghail sitara so gaya hai