siyah chand ke tukdon ko main chaba jaun safed sayon ke chehron se tirgi tapke udas raat ke bichchhu pahad chadh jaen hawa ke zine se tanhaiyan utarne lagen sajae jaen chhaton par mari hui aanhken palang ret ke khwabon ke sath so jae kasi ke rone ki aawaz aae suraj se sitare ghaar ki aanton mein tutte jaen main apni qainchi se kaghaz ka aasman katun nahif waqt ki ranon pe khwahishen rengen lahu ka zaiqa danton mein muskurane lage agar ye hath meri pith par chipak jaen siyah chand ke tukdon ko main chaba jaun