ek zara sochne do is khayaban mein jo is lahza bayaban bhi nahin kaun si shakh mein phul aae the sab se pahle kaun be-rang hui ranj-o-tab se pahle aur ab se pahle kis ghadi kaun se mausam mein yahan khun ka qaht pada gul ki shah-rag pe kada waqt pada sochne do sochne do ek zara sochne do ye bhara shahr jo ab wadi-e-viran bhi nahin is mein kis waqt kahan aag lagi thi pahle is ke saf-basta darichon mein se kis mein awwal zah hui surkh shuaon ki kaman kis jagah jot jagi thi pahle sochne do hum se us des ka tum nam o nishan puchhte ho jis ki tarikh na jughrafiya ab yaad aae aur yaad aae to mahbub-e-guzishta yaad aae ru-ba-ru aane se ji ghabrae han magar jaise koi aise mahbub ya mahbuba ka dil rakhne ko aa nikalta hai kabhi raat bitane ke liye hum ab us umr ko aa pahunche hain jab hum bhi yunhi dil se mil aate hain bas rasm nibhane ke liye dil ki kya puchhte ho sochne do let me think