yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi wo is wadi ki shahzadi thi aur shahana rahti thi kanwal ka phul thi sansar se begana rahti thi nazar se dur misl-e-nikhat-e-mastana rahti thi yahi wadi hai wo hamdam jahan rehana rahti thi inhi sahraon mein wo apne galle ko charaati thi inhin chashmon pe wo har roz munh dhone ko aati thi inhi tilon ke daman mein wo aazadana rahti thi yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi khajuron ke tale wo jo khandar se jhilmilate hain ye sab 'rehana' ke masum afsane sunate hain wo in khandaron mein ek din surat-e-afsana rahti thi yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi mere hamdam ye nakhlistan ek din us ka maskan tha isi ke kharmai-e-aghosh mein us ka nasheman tha isi shadab wadi mein wo be-bakana rahti thi yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi ye phulon ki hasin aabaadiyan kashana thin us ka wo ek but thi ye sari wadiyan but-khana thin us ka wo is firdaus-e-wajd-o-raqs mein mastana rahti thi yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi tabahi ki hawa is khak-e-rangin tak na aai thi ye wo khitta tha jis mein nau-bahaaron ki khudai thi wo is khitte mein misl-e-sabza-e-begana rahti thi yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi isi virana mein ek din bahishten lahlahati thin ghataen ghir ke aati thin hawaen muskuraati thin ki wo ban kar bahaar-e-jannat-e-virana rahti thi yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi ye virana guzar jis mein nahin hai karwanon ka jahan milta nahin nam-o-nishan tak sarbanon ka isi virane mein ek din meri 'rehana' rahti thi yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi yahin aabaad thi ek din mere afkar ki malka mere jazbaat ki dewi mere ashaar ki malka wo malka jo ba-rang-e-azmat-e-shahana rahti thi yahi wadi hai wo hamdam jahan rehana rahti thi saba shakhon mein nakhlistan ki jis dam sarsaraati hai mujhe har lahr se 'rehana' ki aawaz aati hai yahin 'rehana' rahti hai yahin 'rehana' rahti thi yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi fazaen gunjti hain ab bhi un wahshi taranon se suno aawaz si aati hai un khaki chatanon se ki jin mein wo ba-rang-e-naghma-e-begana rahti thi yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi mere hamdam junun-e-shauq ka izhaar karne de mujhe us dasht ki ek ek kali se pyar karne de jahan ek din wo misl-e-ghuncha-e-mastana rahti thi yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi ba-rabb-e-kaba us ki yaad mein umren ganwa dunga main us wadi ke zarre zarre par sajde bichha dunga jahan wo jaan-e-kaba azmat-e-but-khana rahti thi yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi wo is tile par akasr aashiqana git gati thi purane surmaon ke fasane gungunati thi yahin par muntazir meri wo betabana rahti thi yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi khajuron ke hasin sae zamin par lahlahate the sitare jagmagate the shagufe khilkhilate the fazaen muntashir ek nikhat-e-mastana rahti thi yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi yahin basti thi ai hamdam mere ruman ki basti mere afsanon ki duniya mere wijdan ki basti yahin 'rehana' basti thi yahin 'rehana' basti thi yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi shamim-e-zulf se us ki mahak jati thi kul wadi nigah-e-mast se us ki bahak jati thi kul wadi hawaen par-fishan ruh-e-mai-o-mai-khana rahti thi yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi wo gesu-e-pareshan ya ghataen raqs karti thin fazaen wajd karti thin hawaen raqs karti thin wo is firdaus-e-wajd-o-raqs mein mastana rahti thi yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi gudaz-e-ishq se labrez tha qalb-e-hazin us ka magar aaina-dar-e-sharm tha ru-e-hasin is ka khamoshi mein chhupae naghma-e-mastana rahti thi yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi use phulon ne meri yaad mein betab dekha hai sitaron ki nazar ne raat bhar be-khwab dekha hai wo sham-e-husn thi par surat-e-parwana rahti thi yahi wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi yahin ham-rang-e-gul-ha-e-hasin rahti thi 'rehana' misal-hur-e-firdaus-e-barin rahti thi 'rehana' yahin 'rehana' rahti thi yahin 'rehana' rahti thi yahin wadi hai wo hamdam jahan 'rehana' rahti thi payam dard-e-dil 'akhtar' diye jata hun wadi ko salam-e-rukhsat-e-ghamgin kiye jata hun wadi ko salam ai wadi-e-viran jahan 'rehana' rahti thi