maut apni na amal apna na jina apna kho gaya shorish-e-giti mein qarina apna nakhuda dur hawa tez, qarin kaam-e-nahang waqt hai phenk de lahron mein safina apna arsa-e-dahr ke hangame tah-e-khawab sahi garm rakh aatish-e-paikar se sina apna saqiya ranj na kar jag uthegi mahfil aur kuchh der utha rakhte hain pina apna besh-qimat hain ye gham-ha-e-mahabbat mat bhul zulmat-e-yas ko mat saunp khazina apna