mah-e-kaamil hairat ki taswir ho jaise hadd-e-chah-e-nakhshab aalamgir ho jaise holi ke rangon ka dhoka chehron par tahrir ho jaise bhigi raat mein aab-e-shar-angez ke mare mast sitare apni chaalen chuk rahe hain dahlizon par pighli shamen nile baadal ke parde mein ojhal hote aankh ke tare dhund rahi hain aainon se nalan naqsh se aari chehre jazbon ke uqdon mein uljhe murtiyon ki mala japte kan mein halqe dale gerwe baadal pahne nach rahe hain lal tilak mein aankh ugae shamen thame chob uthae yak-rangi dastaren jubbe gumbad odhe sadiyon ki diwar pe rote raqs-e-wahshat ka zahrab undel rahe hain na-binai ke paighambar rang rachati maut ki boli bol rahe hain chikh rahe hain in ke pairahan ko dekho chehre dekho aankhen dekho dekho sab hathon ko dekho jis par rang nazar aa jae jaan se jae lekin in ko kaun batae sab ke hath range hain sab ke daman tar hain aankhen khunin hain chehron par khauf likha hai lekin be-nuri mein sab tahriren aankhon se ojhal hain rah-e-adam par naqsh qadam ke dhundne wala sayon ki bohtat mein sahma dahshat ki har tal pe raqsan soch raha hai waqt ke pairon ko daldal se kaun nikale shab ki ot se jalta suraj apne sar par kaun uthae rangon ki bauchhaar mein jaane kis chehre par kis ko rang nazar aa jae dew ka saya agle pal kis ko kha jae kya malum ki apni bari kab aa jae