lafz aur hont ke mabain kahin sans ulajh jati hai tere aangan ke kisi gosha-e-nadida mein manhani hathon se diwar pakadti hui ummid ki bel apne hi gham se dahakti rahi dam dam paiham apne hi nam se mahakti rahi mausam mausam lafz ubharte rahe ruk ruk ke sar-e-shakh-e-niyaz bel ke phul kabhi rang kabhi khushbu se aan ki aan tere lams mein jina chahen majas-e-zat ki tanhai mein aur zamistan-e-khamoshi ki giranbari mein yahi arman raha tu unhen chahe na chahe lekin kabhi pal bhar ko pazirai ka izhaar kare lamha bhar lazzat-e-shunwai se sarshaar kare aaj is dard ki barsat ke din bel se ek mahak utthi hai tufan ki tarah phul wa honton ke manind hain har barg hai ek dida-e-giryan ki tarah aur hawa kanp rahi hai kisi hamraaz pareshan ki tarah kya ye betab dhadakte hue lafz aaj bhi teri mizha par na munawwar honge