khamosh hain sahiban-e-munsif hairan hain rahbaran-e-mukhlis lashon ka koi watan nahin hai murdon ki koi zaban nahin hai ujde hue ghar ki khamushi mein nauhe ki nidaen ek si hain matam ka hai lahja ek jaisa rone ki sadaen ek si hain aankhon ki siyahiyan hain maddham palkon ki qalam hai para-para khunab hua hai mushaf-e-rukh honton ke hain daere shikasta chehre ki kitab ke waraq par! zakhmon ne jo hashiye likhe hain in sab ki zaban hai ek jaisi wo sab ki samajh mein aa gae hain ek pal ke liye shab-e-alam mein chamkenge tasalliyon ke aansu kuchh der darida-damanon mein! mahkegi sataishon ki khushbu phir khak ki jild mein chhupega tamil-e-wafa ka ahd-nama! mil jaengi warison ko yaaden ho jaega qafila rawana