ye kis ke qadmon ki chap aai kaun aaya ye baam-o-dar ab jo khasta-jaan hain ye chaunk utthe aur yas-o-hasrat se shakl hum sab ki tak rahe hain darad apne jigar ki le kar karb ki shiddat ko sah kar nile se pad gae hain kisi ke hathon ke lams ko taras rahe hain nami ko aankhon mein dabdabae sehn ke raste ubur kar ke isi sutun ke shikasta sae mein sar jhukae guzishta yaadon mein kho gai hun wahi sutun jo thake thake se malul hain aur shigaf-e-tanhai se surkh inten zakhm ki manind jhankte hain aur ris rahe hain jise chameli ki zard bahen laga ke sine se kah rahi hain dukhon ko tere main jaanti hun tujhi mein to jazb ho chuki hun wo palken khwabon se uljhi uljhi wo surkh jode mein sahmi sahmi basi hina mein larazti bahen teri hi gardan mein thin hamail tumhin ne jis ko widaa kiya tha wo dur ja kar ek aisi basti mein bas gai hai jahan koi ham-zaban nahin hai munder par ki nahif belen chaaron jaanib ko dekhti hain wo kaise bolen ki un ke lab pe sukut-e-paiham ki mohren si lagi hui hain magar dua ek faza mein gunji ki tu jahan hai wahin khile tu bala se daman hai mera khali nahin mayassar jo bund ek bhi!