yun lagta hai jaise subh ka manzar ufaq ke maile-pan ko dho raha ho sham ke waqt aasman ne tewar badle hon koi bai-ragi sahil pe khada kisi sufi shair ka kalam gungunata raha ho yun lagta hai jaise balcony mein baitha lahlahate kheton ka nazara karte koi shair mahw-e-takhliq-e-sukhan jis ke zehn se khub-surati bikherta hua aabshaar mushaf-e-zamin ko chum raha ho yun lagta hai jaise mast adaon se bal khati hui koi nadi sagar se milne ko be-tab ho yun lagta hai jaise koi farishta mail-e-tabassum aksar yahi khayal aata hai tujhe dekhne ke baad