tah-e-nujum, kahin, chandni ke daman mein hujum-e-shauq se ek dil hai be-qarar abhi khumar-e-khwab se labrez ahmarin aankhen safed rukh pe pareshan ambarin aankhen chhalak rahi hai jawani har ek bun-e-mu se rawan ho barg-e-gul-e-tar se jaise saill-e-shamim ziya-e-mah mein damakta hai rang-e-pairahan ada-e-ijz se aanchal uda rahi hai nasim daraaz qad ki lachak se gudaz paida hai ada-e-naz se rang-e-niyaz paida hai udas aankhon mein khamosh iltijaen hain dil-e-hazin mein kai jaan-ba-lab duaen hain tah-e-nujum kahin chandni ke daman mein kisi ka husn hai masruf-e-intizar abhi kahin khayal ke aabaad-karda gulshan mein hai ek gul ki hai na-waqif-e-bahaar abhi