phir koi aaya dil-e-zar nahin koi nahin rah-rau hoga kahin aur chala jaega dhal chuki raat bikharne laga taron ka ghubar ladkhadane lage aiwanon mein khwabida charagh so gai rasta tak tak ke har ek rahguzar ajnabi khak ne dhundla diye qadmon ke suragh gul karo shamen badha do mai o mina o ayagh apne be-khwab kiwadon ko muqaffal kar lo ab yahan koi nahin koi nahin aaega loneliness someone has come at long last—no, my poor heart, no one, just a passer-by, going somewhere else.