nek bachche dil se karte hain adab ustad ka bap ki ulfat se behtar hai ghazab ustad ka aam logon ki jahaalat dur karne ke liye haq-taala ne banaya hai sabab ustad ka us ki barakat se jahan mein phailti hain nekiyan kyon na phir ustad se raazi ho rab ustad ka kuchh na kuchh umda sabaq deti hai us ki zindagi khulq se khali nahin hai koi dhab ustad ka jis ghadi nadan bachchon ko sikhata hai wo ilm chum lete hain farishte aa ke lab ustad ka bas use padhne-padhane se hamesha kaam hai kitna achchha mashghala hai roz-o-shab ustad ka khwah sari umr us ke panw dho dho kar piye aadmi se haq ada hota hai kab ustad ka imtihan mein hal na ho jis dam koi mushkil sawal khud pasandon ko pata chalta hai tab ustad ka shukr ke jazbaat se gardan jhuka leta hun main yaad aata hai mujhe ehsan jab ustad ka kal zamane ki nigahon mein wo izzat paega martaba pahchan jaega jo ab ustad ka us ki aalamgir haisiyyat hai shahon ki tarah kul ajam ustad ka hai kul arab ustad ka chal rahe hain aaj duniya mein hazaron mahkame sach agar puchho to hai ye 'faiz' sab ustad ka