zindagi main tere darwaze par ek bhikari ki tarah aaya tha apne daman ko bana kar kashkol teri har rah pe phailaya tha ek marhum kiran ki khatir mujh ko thodi si ziya bhi na mili dam-ba-dam dubte sayyare ko apne markaz se sada bhi na mili dafatan ek dhamake ke sath kachche dhagon ke sire chhut gae ungliyan chhil gain armanon ki yak-ba-yak tar-e-nafas tut gae aur phir ek ghana sannata aur phir rasm-e-kohan ke gesu kuchh dilase ki zabani baaten kuchh dikhawe ke purane aansu 2 kohr mein dub gai thin shamen waqt naraaz tha qismat ki tarah raat ke rukh pe the zakhmon ke nishan meri majruh hamiyat ki tarah ek khatarnak kagare ke qarib tujh se ladne ka irada le kar main ne mohron ko sikhai shorish main ne maujon ke bigade tewar tu magar aai to ek lamhe mein na wo tewar the na wo aahen thin tere aariz pe mere aansu the meri gardan mein teri bahen thin