dar pe aae hain ji woton ke gadagar dekho mangte hain bhik kaise gidgida kar dekho phir na dekhoge inhen panch baras yaro in ki surat ko bhi jaoge taras yaro aaj ji bhar ke karo in ke daras yaro aaj pas aa ke nazar in se mila kar dekho dar pe aae hain ji woton ke gadagar dekho ab to kahte hain ki pani bhi bharenge ye jo na ab tak kar sake wo ab karenge ye ab na wa'de se kabhi apne phirenge ye kahte hain ek bar phir se aazma kar dekho dar pe aae hain ji woton ke gadagar dekho in mein shamil hain bure bhi aur change bhi kuchh sharafat ke hain putle kuchh lafange bhi chand ek ne to karae honge dange bhi sab ke sab kaise khade hain sar jhuka kar dekho dar pe aae hain ji woton ke gadagar dekho in mein rahzan bhi chhupe hain rahbar bhi hain jahil-o-an-padh bhi hain ahl-e-nazar bhi hain machhliyan chhoti badi mote magar bhi hain in ke mukhdon se mukhoton ko hata kar dekho dar pe aae hain ji woton ke gadagar dekho phir wahi wa'de purane phir wahi na’re phir ye da’wa tod kar le aaenge tare phir bahak jaenge muflis bhuk ke mare phir se khana hai tumhein dhoka to kha kar dekho dar pe aae hain ji woton ke gadagar dekho de rahe ho apni qismat jin ke hathon mein kitna sach hai jaanch to lo un ki baaton mein kaun nek insan hai in panch saton mein thonk kar achchhe se achchhe se baja kar dekho dar pe aae hain ji woton ke gadagar dekho