ab aansuon ke dhundlakon mein raushni dekho hujum-e-marg se aawaz-e-zindagi ko suno suno ki tishna-dahan malik-e-sabil hue suno ki khak-basar waris-e-fasil hue rida-e-chaak ne dastar-e-shah ko tar kiya tan-e-nahif se amboh-e-jabr haar gaya suno ki hirs-o-hawas qahr-o-zahr ka rela ghubar-o-khar o khash-o-khak hi ne tham liya siyahiyan hi muqaddar hon jin nigahon ka khuda bachae un aankhon ki shola-bari se daro ki zard-rukhan nim-jaan o khasta-tanan hazar bar mare aur lakh bar jiye! wo log jin ko mayassar na aae marham-e-waqt! wo log talkhi-e-taqdir bant lete hain wo hath jin pe ho nafrat ka zang sadiyon se wo hath lohe ki diwar kat dete hain