main sochta hun main ek insan hun ek musht-e-ghubar hun main abhi main ye soch hi raha tha ki ek aawaz sarsarai faza ki khamosh wusaton mein palat ke dekha koi hawai jahaz parwaz kar raha tha jo lamha lamha bulandiyon ki taraf rawan tha main us ko takta raha musalsal na jaane kab tak na jaane is lamha-e-gurezan ke tang daman mein kitni sadiyan simat gai thin na jaane meri nazar mein kitne nae ufuq jagmagae kitne hi chand suraj ubhar ke dube na jaane wo kaun sa jahan tha zamin ki panw tale koi farsh-e-zar ho jaise falak ki sar par rida-e-ab-e-guhar ho jaise faza munawwar hawa moattar nafas nafas mein basi hui nikhat-e-gul-e-tar khalaon mein mushtari o zohra ka raqs jari tamam aalam pe halka halka surur tari na jaane main kis khayal mein gum kis abr-pare pe ud raha tha ghurur se sar buland kar ke har ek sitare ko dekhta tha ki ek dil-doz chikh gunji faza ki khamosh wusaton mein main chaunk uttha palat ke dekha gali se ek haddiyon ka dhancha guzar raha tha jo chikh kar ek ek se kahta tha ek roti khuda tumhaara bhala karega