aaj andhera meri nas nas mein utar jaega aankhen bujh jaengi bujh jaenge ehsas o shuur aur ye sadiyon se jalta sa sulagta sa wajud is se pahle ki sahar mathe pe shabnam chhidke is se pahle ki meri beti ke wo phul se hath garm rukhsar ko thandak bakhshen is se pahle ki mere bete ka mazbut badan tan-e-mafluj mein shakti bhar de is se pahle ki meri biwi ke hont mere honton ki tapish pi jaen rakh ho jaega jalte jalte aur phir rakh bikhar jaegi zindagi kahne ko be-maya sahi gham ka sarmaya sahi main ne is ke liye kya kya na kiya kabhi aasani se ek sans bhi yamraj ko apna na diya aaj se pahle bahut pahle isi aangan mein dhup-bhare daman mein main khada tha mere talwon se dhuan uthta tha ek be-nam sa be-rang sa khauf kachche ehsas pe chhaya tha ki jal jaunga main pighal jaunga aur pighal kar mera kamzor sa main qatra qatra mere mathe se tapak jaega ro raha tha magar ashkon ke baghair chikhta tha magar aawaz na thi maut lahraati thi sau shaklon mein main ne har shakl ko ghabra ke khuda man liya kat ke rakh diye sandal ke pur-asrar darakht aur patthar se nikala shoala aur raushan kiya apne se bada ek alaw jaanwar zabh kiye itne ki khun ki lahren panw se uth ke kamar tak aain aur kamar se mere sar tak aain som-ras main ne piya raat din raqs kiya nachte nachte talwe mere khun dene lage mere aaza ki thakan ban gai kanpte honton pe bhajan haddiyan meri chatakhne lagin indhan ki tarah mantar honton se tapakne lage roghan ki tarah agni mata meri agni mata sukhi lakdi ke ye bhaari kunde jo teri bhent ko le aaya hun un ko swikar kar aur aise dhadhak ki machalte shoale khinch len josh mein suraj ki sunahri zulfen aag mein aag mile jo amar kar de mujhe aisa koi rag mile agni man se bhi na jine ki sanad jab pai zindagi ke nae imkan ne li angdai aur kanon mein kahin dur se aawaz aai buddham sharadam gachhami dhammam sharadam gacchami sangham sharadam gacchami chaar abru ka safaya kar ke be-sile wastr se dhanpa ye badan ponchh ke patni ke mathe se damakti bindiya sote bachchon ko bina pyar kiye chal pada hath mein kashkol liye chahta tha kahin bhiksha hi mein jiwan mil jae jo kabhi band na ho dil ko wo dhadkan mil jae mujh ko bhiksha mein magar zahr mila hont tharrane lage jaise kare koi gila jhuk ke suli se usi waqt kisi ne ye kaha tere ek gal pe jis pal koi thappad mare dusra gal bhi aage kar de teri duniya mein bahut hinsa hai us ke sine mein ahinsa bhar de ki ye jine ka tariqa bhi hai andaz bhi hai teri aawaz bhi hai meri aawaz bhi hai main utha jis ko ahinsa ka sabaq sikhlane mujh ko latka diya suli pe usi duniya ne aa raha tha main kai kuchon se thokar kha kar ek aawaz ne roka mujh ko kisi minar se niche aa kar allahu-akbar allahu-akbar hua dil ko ye guman ki ye pur-josh azan maut se degi aman phir to pahuncha main jahan main ne dohrai kuchh aise ye azan gunj utha sara jahan allahu-akbar allahu-akbar isi aawaz mein ek aur bhi gunja elan kullo-man-alaiha-fan ek taraf dhal gaya khurshid-e-jahan-tab ka sar hua falij ka asar phat gai nas koi shiryanon mein khun jam sa gaya ho gaya zakhmi dimagh aisa lagta tha ki bujh jaega jalta hai jo sadiyon se charagh aaj andhera meri nas nas mein utar jaega ye samundar jo badi der se tufani tha aisa tadpa ki mere kamre ke andar aaya aate aate wo mere waste amrit laya aur lahra ke kaha shiw ne ye bhejwaya hai lo piyo aur aaj shiw ilm hai amrit hai amal ab wo aasan hai jo dushwar tha kal raat jo maut ka paigham liye aai thi biwi bachchon ne mere us ko khidki se pare phenk diya aur jo wo zahr ka ek jam liye aai thi us ne wo khud hi piya subh utri jo samundar mein nahane ke liye raat ki lash mili pani mein