us kamre ki tartib se main manus tha us ki har shai se patthar se diwaron se chhoti chhoti chizon aur kitabon se mutarannim aawazon se shor machate hanste-gate gahe-gahe lamha-bhar ko chup ho jate apne apne aasman se tanhai mein sukh aur dukh ki baaten karte logon se nannhi-munni sargoshi mein jadu bharti gudiya se rang lutate us ke nat-khat gudde se tum to mere apne the tum ne ye kya kar dala tum ne apne hath se meri barson ki manus lakiren darham-barham kar dalen aawazon ki ragniyon ki taswiron ki raushan aankhen tum to mere apne the tum ne ye kya kar dala