teri nigah ki hai pasban-e-mustaqbil suna rahi hai hamein dastan-e-mustaqbil teri hayat ki hai tarjuman-e-mustaqbil liye hai kaif-o-nashat-e-jahan-e-mustaqbil hai sar-buland kabhi se nishan-e-mustaqbil zamin ko tu ne kiya aasman-e-mustaqbil tujhi se ghairat-e-kashmir hai dayar-e-watan tujhi se rashk-e-iram gulistan-e-mustaqbil tere yaqin ne kiya hai wo inqilab-e-azim ki ahd-e-haal pe ab hai guman-e-mustaqbil chaman ke khwab ki tabir hai junun tera hue hain ghuncha-o-gul nukta-dan-e-mustaqbil tere nafas-ba-nafas irtiqa zamane ka tere qadam-ba-qadam hai zaman-e-mustaqbil shab-e-hayat ki is be-panah zulmat mein nuqush-e-pa hain tere kahkashan-e-mustaqbil har ek nafas hai tera ham-rikab asr-e-rawan har ek nazar hai teri karwan-e-mustaqbil amin-e-raaz wahi hai watan ki qismat ka tera 'jamal' ki hai raaz-dan-e-mustaqbil