ye ek bachche ka qissa hai ye bachcha tha bada ziddi natija ye hua zid ka ye aadat pad gai us ki jo sidhi baat bhi kahte samajhta us ko wo ulti wo kahta garm ko thanda wo kahta thand ko garmi wo kahta farsh ko takiya wo kahta mez ko kursi wo kahta hat ko achkan wo kahta coat ko sadri wo kahta hauz ko dariya wo kahta jhil ko naddi wo kahta gosht ko roti wo kahta dudh ko pani wo kahta mirch ko shalgham wo kahta pyaz ko muli wo kahta bhed ko ghoda wo kahta bail ko bakri khilate us ko gar laddu wo khana chahta barfi mangate us se gar aalu to deta la ke wo gobhi gharaz main kya kahun 'nayyar' thi baat us ki har ek aundhi