main apne ghar ke khamosh dar pe khadi hui hun main ek kamre se dusre ko larazte qadmon se badh rahi hun main chhat ke zine pe chadh rahi hun tumhaari aawaz aa rahi hai gali gali ke tamam chehre machine daftar libas sare dukan makan aur makin sare bason ke uthte dhuen mein tahlil ho rahe hain tumhaari aawaz aa rahi hai hawa ki sansen bikhar rahi hain main nim-shab ke athah kunen mein simat rahi hun sulagti aankhon ko sath le kar main nim-khwabi mein chal rahi hun tumhaari aawaz aa rahi hai zamin ka sina bilak raha hai hazar sadiyon ka ek safar hai ubalte aansu machalte sagar pighalte lawe ko pi rahi hun tumhaari aawaz aa rahi hai main zard paude ko zinda pani pila rahi hun main jalte zakhmon pe thanda marham laga rahi hun tamam ashkon ke waste main ye narm aanchal bichha rahi hun tumhaari aawaz aa rahi hai tamam aalam kiran kiran hai ajib khushbu tamam aalam tamam sanson pe chha rahi hai mahak ki aankhen damak uthi hain gulab se lauh bhar rahi hai tumhaari aawaz aa rahi hai