meri hatheli ke sanp kab tak dasenge mujh ko meri hatheli ke sanp jo ab meri ragon mein utar chuke hain badan ko zanjir kar chuke hain main khwab dekhun to koi aankhon pe hath rakh de qadam uthaun to koi mere qadam pakde palat ke dekhun to koi pichhe na koi aage bas ek saya meri haqiqat ka ek kinaya meri haqiqat ki mein andhere ki rahnumai mein chal raha hun azal se ek samri ke sanpon mein pal raha hun meri hatheli ki jis mein raushan wo aag bhi hai wo nur bhi hai jo dast-e-musa hai tur bhi hai jo is asa ki talash mein hai jo har tahi-dast ki mata-e-giran-baha hai jo kushtagan-e-tilism-e-zar ki hayat-e-taza ka moajiza hai jo ahd-e-hazir ke sahiron aur un ke paniyon ke waste zarbat-e-qaza hai