tazmin bar-ashaar-e-ghaalib

dard-e-ulfat yunhi tha rag rag mein sari hae hae
kyun lagaya phir wafa ka zakhm-e-kari hae hae

tujh sa be-fikr aur kisi ki gham-gusari hae hae
dard se mere ho tujh ko be-qarari hae hae

kya hui zalim teri ghaflat shiari? hae hae
kuchh hansi tha shirkat ranj-o-alam ka hausla

aah ye ek khugar naz-o-niam ka hausla
kyun kiya be-quwwat-e-dil is sitam ka hausla

tere dil mein gar na tha aashob-e-gham ka hausla
tu ne phir kyun ki thi meri gham-gusari hae hae

tha mera gham-khwar ban kar phulna phalna muhaal
kat gaya aakhir na tera nakhl-e-umr ai naunihaal

aah nadan kyun na socha meri ulfat ka maal
kyun meri gham-khwargi ka tujh ko aaya tha khayal

dushmani apni thi meri dost-dari hae hae
jite ji hum tum rahe gar yak-dil-o-yakja to kya

ta-dam-e-akhir bhara gar dam mohabbat ka to kya
umr bhar paiman raha minnat-kash ifa to kya

umr bhar ka tu ne paiman-e-wafa bandha to kya
umr ko bhi to nahin hai paedari hae hae

chhod kar zindan mein mujh ko tu ne rah-e-khuld li
tere zakhm-e-nawak-e-furqat se main jiti bachi

ho chuki bas e'timad-e-dil ki shekhi kirkiri
khak mein namus-e-paiman-e-mohabbat mil gai

uth gai duniya se rah-rau rasm yari hae hae
wa daregha tha dil-e-bimar-e-gham ko aasra

aab-e-tegh-e-naz se ek din mujhe hogi shifa
hasrat ai shauq-e-jarahat! rukhsat ai zauq-e-fana

hath hi tegh-azma ka kaam se jata raha
dil pe ek lagne na paya zakhm-e-kari hae hae

gham hare karti hai fasl-e-ashk-bar-e-barshgal
misl-e-qismat tar hain lail-o-nahaar-e-barshgal

kab khulega hae ye ab saya-dar-e-barshgal
kaise katun hae main shab-ha-e-tar-e-barshigal

hai nazar khu-karda-e-akhtar-shumari hae hae
ek din wo bhi tha jab dam bhar ki furqat thi muhaal

aah ek din ye bhi hai jab runuma hai infial
ye alam kab tak sahun kab tak na ho jina wabaal

gosh mahjur-e-payam o chashm mahrum-e-jamal
ek dil tis par ye na ummid-wari hae hae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close