raat sunsan thi bojhal thin faza ki sansen ruh par chhae the be-nam ghamon ke sae dil ko ye zid thi ki tu aae tasalli dene meri koshish thi ki kambakht ko nind aa jae der tak aaankhon mein chubhti rahi taron ki chamak der tak zehn sulagta raha tanhai mein apne thukrae hue dost ki pursish ke liye to na aai magar us raat ki pahnai mein yun achanak teri aawaz kahin se aai jaise parbat ka jigar chir ke jharna phute ya zaminon ki mohabbat mein tadap kar nagah aasmanon se koi shokh sitara tute shahad sa ghul gaya talkhaba-e-tanhai mein rang sa phail gaya dil ke siyah-khane mein der tak yun teri mastana sadaen gaunjin jis tarah phul chatakne lagen virane mein tu bahut dur kisi anjuman-e-naz mein thi phir bhi mahsus kiya main ne ki tu aai hai aur naghmon mein chhupa kar mere khoe hue khwab meri ruthi hui nindon ko mana lai hai raat ki sath par ubhre tere chehre ke nuqush wahi chup-chap si aanhken wahi sada si nazar wahi dhalka hua aanchal wahi raftar ka kham wahi rah rah ke lachakta hua nazuk paikar tu mere pas na thi phir bhi sahar hone tak tera har sans mere jism ko chhu kar guzra qatra qatra tere didar ki shabnam tapki lamha lamha teri khushbu se moattar guzra ab yahi hai tujhe manzur to ai jaan-e-qarar main teri rah na dekhunga siyah raaton mein dhundh lengi meri tarsi hui nazren tujh ko naghma o sher ki umdi hui barsaton mein ab tera pyar sataega to meri hasti teri masti bhari aawaz mein dhal jaegi aur ye ruh jo tere liye bechain si hai git ban kar tere honton pe machal jaegi tere naghmat tere husn ki thandak le kar mere tapte hue mahaul mein aa jaenge chand ghadiyon ke liye hun ki hamesha ke liye meri jagi hui raaton ko sula jaenge