tu hindu banega na musalman banega insan ki aulad hai insan banega achchha hai abhi tak tera kuchh nam nahin hai tujh ko kisi mazhab se koi kaam nahin hai jis ilm ne insanon ko taqsim kiya hai is ilm ka tujh par koi ilzam nahin hai tu badle hue waqt ki pahchan banega insan ki aulad hai insan banega malik ne har insan ko insan banaya hum ne ise hindu ya musalman banaya qudrat ne to bakhshi thi hamein ek hi dharti hum ne kahin bhaarat kahin iran banaya jo tod de har band wo tufan banega insan ki aulad hai insan banega nafrat jo sikhae wo dharam tera nahin hai insan ko jo raunde wo qadam tera nahin hai quran na ho jis mein wo mandir nahin tera gita na ho jis mein wo haram tera nahin hai tu amn ka aur sulh ka arman banega insan ki aulad hai insan banega